Saturday, October 11, 2014

ख्वाइशें

'Sinful Wishes'

Ye khwaishen kitni gulabi hain;
Dil inke liye bilkul sharabi hai;

Ek poori hoti hai : hazaar chunta hai
Unke liye kitne zaal bunta hai?

Kuch poori' baki marti hai khwaishen;
Har din mandir mein' chadhti hai khwaishen;

Samunder mein lehar si khwaishen;
Nikah mein mehar si khwaishen;

Poori na ho tau' zahar si khwaishen
Pyaas se marti' behar(desert)si khwaishen;

Hothon par adh-jali' cigarette si khwaishen
Ash tray mein bujh chuki' cigarette si khwaishen;

Jawani mein sharab si khwaishen;
Uske baad khizab si khwaishen;

Kuwaron(unmarried) ki na jaane kitni khwaishen;
Married ki hardly any khwaishen;

Zindagi ke saath chalti hai khwaishen;
Marne par kya kafan mein zalti hai khwaishen?No comments:

Post a Comment