Tuesday, September 30, 2014

'A visit to old delhi & its havelis'

In purani haveli ke pardo mein' kitne kisse dhool se lipte hai.
Aangan ke us Bargad par patte ki tarah chipte hain.

Haveli ki  har khidki'kahti ek kahani hai;
Is boodhi haveli ki neev
 mein' dabi kiski jawani hai?

Purane sandook mein wo shawl pashmine ka;
wo zafrani pullover;
Kya kahna us bazoo band ke nagine ka.

Dhooop ki jard(yellowish old)si shawl mein:
Chandni chowk khoya hai Galib ke khyal mein.

Life on railway track

Meri raat ki saij se:

In rail ki patri tak:

Kai meel ki doori hai:

Jo kabhi mil na saki:
Wo raat bhi adhoori hai;

Jahan milti hai zameen aasman se;

Milti hai ye patri (tracks) tere nazar ki kaman se;

Us mod par ;
Judega mera naam tere naam se.

Smile in the face of adversity ...

आसमान को चूमती मेरी आकांक्षाएं 

फ़ौलाद से बुलंद मेरा हौसला 

प्रकाश की गति से तेज़ मेरी कल्पना 

दुखों के पीछे भाग, उन्हें दूर भगाती मेरी मुस्कान 

मत देखो मेरा शरीर, मत समझो मुझे अपाहिज 

मैं मेरा शरीर नहीं ।

(संजय धवन)

सहारा



कौन किसका सहारा....
यह टहनियों का कंकाल,फूल पत्तों से वांछित
या ये बिजली की तारें ....लिपटी हुई इसपर
एक दूसरे पर आऋित... इस निर्मम संसार में..

- डॉ शैली सिंह

My heart & my fright


'My heart & my fright'

Mera dil  mujhse kahta hai;
Mera dar iske aas paas rahta hai;

Pathar hi pathar hai poore raaste;
Ek umeed ka dariya 'phir bhi bahta hai;

Main janta hoon tere dil ko;
Phir bhi tere har jhooth ko sahta hai;

Har kadam dimag ne' is dil ko kuchla hai
Phir bhi ye dil har pal' meri ragon mein bahta hai;

Kya karoon apne ko dhokha dena;
Mujhko acha lagta hai.

Apne paraye mein ye dil kahan farak karta hai;
Khud ka dar mujhko khud se alag rakhta hai;

Yu tau dushman bahut hai yahan;
Mera ye dar mera sabse bura karta hai.